JIND LE GAYA WOH Lyrics

Jind Le Gaya Woh Dil Ka Jaani Lyrics from Aap Ke Sath : Jind Le Gaya Woh Dil Ka Jaani is a beautiful hindi song from 1986 bollywood film Aap Ke Sath. This song is composed by Laxmikant and Pyarelal. Lata Mangeshkar has sung this song. Its lyrics are written by Anand Bakshi. We also have 'Jind Le Gaya Woh Dil Ka Jaani Video' for you.

JIND LE GAYA WOH LYRICS - Aap Ke Sath
JIND LE GAYA WOH Song Details:
Song:JIND LE GAYA WOH
Movie:Aap Ke Sath
Singer:Lata Mangeshkar
Lyrics:Anand Bakshi
Music:Laxmikant, Pyarelal

JIND LE GAYA WOH Lyrics

Jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya

Jind le gaya, jind le gaya woh dil ka jaani

Jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya x (2)

Jind le gaya
Mehmaan chala gaya ghar se
Yeh khaali makaan reh gaya

Jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya
Jind le gaya
Khwaabon si takdeerein
Khwaabon si takdeerein kab banti hain
Paani pe tasveerein
Paani pe tasveerein kab banti hain
Na rang raha koyi baaki na koyi nishan reh gaya
Jind le gaya, jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya
Jind le gaya

Us aandhi ka, us tufan ka
Jor kisi ko yaad nahi hai
Aayi thi ik roz qayamat
Aur kisi ko yaad nahi hai
Bas ek mera dil toota
Yeh saara jahan reh gaya
Jind le gaya, jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya
Jind le gaya

Apne zakhmon, apne sadmon se
Main kitni sharminda hoon
Kya kaaran hai, kya hai sabab jo
Aaj bhi, ab bhi main zinda hoon
Lagta hai ke mera baaki koyi imtehan reh gaya
Jind le gaya, jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya
Jind le gaya

Mehmaan chala gaya ghar se
Yeh khaali makaan reh gaya
Jind le gaya woh dil ka jaani
Yeh butt bejaan reh gaya
Jind le gaya, jind le gaya
Jind le gaya

Written by: Anand Bakshi

                                
Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!

You may also like...



Disclaimer:

DISCLAIMER:All song lyrics displayed here are for educational purposes only. Songs lyrics and images shared are copyright to their respective owners. We respect the artists and don't promote copyright infringement instead. If you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Gaana, Wynk Music, Jiosaavn, iTunes etc.


Thank You For Visiting The Hindisonglyrics.net