Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Lyrics

Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki Song Lyrics from Movie Barsaat Ki Raat (1960). Song Sung by Asha Bhosle, Balbir Bittu, Kamal, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Mohammed Rafi and music given byRoshan and lyrics by Sahir Ludhianvi. Star Casting are Bharat Bhushan, Madhubala, Shyama, Ratna, Chandrashekhar & Mumtaz Begum.

Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Lyrics
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Song Details:
Song:Zindagi Bhar Nahi Bhulegi
Movie:Barsaat Ki Raat
Singer:Asha Bhosle
Lyrics:Sahir Ludhianvi
Music:Roshan
Starring:Bharat Bhushan, Madhubala,

Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Lyrics

Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Wo Barsaat Ki Raat
Ek Anjaan Hasina Se Mulaqaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi

Haay Wo Reshmi Zulfo Se Barasta Pani
Haay Wo Reshmi Zulfo Se Barasta Pani
Phool Se Gaalo Pe Rukne Ko Tarasta Pani
Dil Me Toofaan Uthaate Huye
Dil Me Toofaan Uthaate Huye Jazbaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Wo Barsaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi


 
Dar Ke Bijli Se Achaanak Wo Lipatna Uska
Aur Phir Sharam Se Bal Kha Ke Simatna Uska
Kabhi Dekhi Na Suni Aisi Ho
Kabhi Dekhi Na Suni Aisi Tilismaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi

Surkh Aanchal Ko Dabakar Jo Nichoda Usne
Surkh Aanchal Ko Dabakar Jo Nichoda Usne
Dil Pe Jalta Hua Ek Teer Sa Chhoda Usne
Aag Pani Me Lagate Huye
Aag Pani Me Lagate Huye Halaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi

Mere Naghmo Mei Jo Basti Hai Wo Tasveer Thi Wo
Naujawaani Ke Haseen Khwaab Ki Taabeer Thi Wo
Aasmanon Se Utar Aayi Ho
Aasmanon Se Utar Aayi Thi Jo Raat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Wo Barsaat Ki Raat
Ek Anjaan Hasina Se Mulaqaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi

Written by: Sahir Ludhianvi

                                
Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!

You may also like...



Disclaimer:

DISCLAIMER:All song lyrics displayed here are for educational purposes only. Songs lyrics and images shared are copyright to their respective owners. We respect the artists and don't promote copyright infringement instead. If you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Gaana, Wynk Music, Jiosaavn, iTunes etc.


Thank You For Visiting The Hindisonglyrics.net