Mujhe Naulakha Mangawa De Re Hindi Song Sung by Asha Bhosle, Kishore Kumar, Lyrics Written by Anjaan and Bappi Lahiri is Music Director. Amitabh Bachchan, Jaya Prada Cast in Lead Role. This Music Video Uploaded by Saregama Music on YouTube.
Mujhe Naulakha Mangawa De Re Song Details:Song: | Mujhe Naulakha Mangawa De Re |
Movie: | Sharaabi |
Singer: | Asha Bhosle,Kishore Kumar, |
Lyrics: | Anjaan |
Music: | Bappi Lahiri |
Starring: | Amitabh Bachchan, Jaya Prada |
Mujhe Naulakha Mangawa De Re Lyrics
Ang Ang Tera, Rang Rachaake
Aisa Karu Singaar
Jab Jab Jhaanjhar Jhankaau Main
Khanke Man Ke Taar
Mujhe Naulakha Manga De Re
O Saiya Deewaane
Mujhe Naulakha Manga De Re
O Saiya Deewaane
Maathe Pe Jhoomar
Kaanon Mein Jhumka
Paanv Mein Paayaliyaa
Haatho Mein Ho Kangana
Mujhe Naulakha Manga De Re
O Saiya Deewaane
Tujhe Main, Tujhe Main
Tujhe Gale Se Lagaa Loongi
O Saiya Deewane
Mujhe Angiya Sila De
O Saiya Deewane
Tujhe Main, Tujhe Main
Tujhe Seen Se Lagaa Loongi
O Saiya Deewane
Mujhe Naulakha Manga De Re
O Saiya Deewane
Salma Sitaron Ki Jhilmil Chunariya
Aau Pahanke To Fisle Najariya
Mujhe Ko Sajaa De Balmaa, Sajaa De
Mujhe Ko Sajaa De Balmaa
Kori Kunwari Ye Kamsin Umariya
Tere Liye Naache Sajke Sawariya
Laali Manga De Sajna, Suraj Se
Laali Manga De Sajna
Tujhe Main, Tujhe Main
Tujhe Hothon Se Laga Loongi
O Saiya Deewane
Tujhe Hothon Se Laga Loongi
O Saiya Deewane
Main To Saari Umariya
Lutaaye Baithi
Balma Do Akhiyon Ki Sharaat Mein
Main To Janmon Ka
Sapna Sajaaye Baithi
Sajanaa Kho Ke Teri Mohabbat Mein
Maana Re Maana Ye Ab Maine Maana
Hota Hai Kya Saiyan Dil Ka Lagaana
Roke Ye Duniya Ya Roothe Zamaana
Jaana Hai Mujhko Sajan Ghar Jaana
Ho..
Jaise Gajra Hase, Jaise Kajra Hase
Jaise Gajra Hase, Jaise Kajra Hase
Waise Akhiyon Mein Tum Muskurana, Ho
Kirno Se Ye Maang Meri Sajaa De
Poonam Ke Chanda Ki Bindiya Manga De
Tujhe Main, Tujhe Main
Tujhe Maathe Pe Sajaa Loongi
O Saiya Deewane
Tujhe Hothon Se Laga Loongi
O Saiya Deewane
Tere Kadmon Pe Chhalka Doongi
Main Saare Maikhaane
Log Kehte Hai, Main Sharaabi Hoon
Log Kehte Hai, Main Sharaabi Hoon
Tum Ne Bhi Shaayad Yehi Soch Liye, Haan
Log Kehte Hai, Main Sharaabi Hoon
Kisi Pe Husn Ka Guroor
Jawaani Ka Nasha
Kisi Ke Dil Pe Mohabbat Ki
Rawaani Ka Nasha
Kisi Ko Dekhke Saanso Se
Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Hadh Se
Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai
Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh
Mere Saamne To Laao Zara
Nasha Hai Sab Pe
Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe
Hai Shabnam Ka Nasha
Hawaa Pe Khushbu Ka Baadal Pe
Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka
Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To
Naachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein
Hoti Halchal
Nasha Sharaab Mein Hota To
Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai
Mujhe Bataao Zara
Nashe Mein Kaun Nahin Hai
Mujhe Bataao Zara
Log Kehte Hai, Main Sharaabi Hoon
Thodi Aankho Se Pilaa De Re
Sajni Deewani
Thodi Aankho Se Pilaa De Re
Sajni Deewani
Tujhe Main, Tujhe Main
Tujhe Saanso Mein Basaa Loonga
Sajni Deewani
Tujhe Naulakhaa Manga Doonga
Sajni Deewani
Tujhe Naulakhaa Manga Doonga
Sajni Deewani
Written by: Anjaan
Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!