Read & sing along Gairon Pe Karam Apno Pe Sitam Lyrics from the movie Aankhen - 1968 which is sung by Lata Mangeshkar. You can also get other songs & lyrics from Aankhen.
GAIRON PE KARAM APNO Song Details:Song: | GAIRON PE KARAM APNO |
Movie: | Aankhen |
Singer: | Lata Mangeshkar |
Lyrics: | Sahir Ludhianvi |
Music: | Ravi |
GAIRON PE KARAM APNO Lyrics
Gairon pe karam apno pe sitam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Gairon pe karam apno pe sitam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Gairon pe karam apno pe sitam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Gairon pe karam apno pe sitam
Hum chahane waale hain tere
Yoon humko jalana theek nahin
Mehhfil mein tamasha ban jaayein
Is darja sataana theek nahin
Is darja sataana theek nahin
Mar jaayenge hum, mit jaayenge hum
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Gairon pe karam apno pe sitam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Yeh zulm na kar
Gairon ke thirakate shaane par
Yeh haath ganwara kaise karein
Gairon ke thirakate shaane par
Yeh haath ganwara kaise karein
Har baat ganwara hai lekin
Yeh baat ganwara kaise karein
Yeh baat ganwara kaise karein
Tujhko teri bedardi ki kasam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Gairon pe karam apno pe sitam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Yeh zulm na kar
Hum bhi the tere manzoor-e-nazar
Jee chaahe to ab ikrar na kar
Sau teer chala seene pe magar
Begaanon se milkar vaar na kar
Begaanon se milkar vaar na kar
Bemaut kahin mar jaayen na hum
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Gairon pe karam apno pe sitam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam
Aye jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Yeh zulm na kar
Written by: Sahir Ludhianvi
Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!