Amanat OST Lyrics

Amanat OST Lyrics This is a Latest Pakistani Drama OST sung by Nabeel Shaukat Ali & Aima Baig. The Drama features Imran Abbas as Zarar, Saboor Aly as Zunairah, Urwa Hocane as Meher, Gohar Rasheed as Qaiser, Haroon Shahid as Junaid. The Drama Writer is Rukhsana Nigar While Shahid Shafaat is the Director of the Drama Serial. Amanat Drama OST Lyrics are written by Qamar Nashad

Amanat OST Lyrics - Nabeel Shaukat Ali
Amanat OST Song Details:
Song:Amanat OST
Singer:Nabeel Shaukat Ali,Aima Baig,
Lyrics:Qamar Nashad
Music:Naveed Nashad

Amanat OST Lyrics

Tumhen Main Kaise Kahon Apna
Amanat Ho Amanat Ho
Chupa Loon Dil Mein Yeh Tamana
Ijazat Ho Ijazat Ho

Nahi Shanasa Mere Gham Se
Hai Yakeen Hum Ko
Sahe Hain Kitne Sitam Hum Ne
Kya Kahen Tum Ko

Dua Labon Pe Jo Laye Toh
Shikayat Ho Shikayat Ho
Tumhen Main Kaise Kahu Apna
Amanat Ho Amanat Ho

Sisakti Rehti Hain Ye Saansen
Kahin Qarar Nahi
Sisakti Rehti Hain Yeh Saansen
Kahin Qarar Nahi

Mujhe Hai Qaid Mein Ab Jeena
Kahin Farar Nahi
Bharosa Tum Pe Karon
Yeh Bhi Ikhtiyar Nahi

Rihayi Khud Se Bhi Paa Len Gay
Zamanat Ho Zamanat Ho
Tumhe Main Kaise Kahon Apna
Amanat Ho Amanat Ho

Aye Mere Khudaya
Jo Dil Mein Chupaya
Karon Main Kaise Wo Biyan
Jo Zakham Mile Hain
Jo Shikwe Gile Hain
Ke Rutha Hai Ye Jahan

Nahi Hai Koi Dil Ki Hasrat
Na Hi Shikwa Koi
Nahi Hai Koyi Dil Ki Hasart
Na Hi Shikwa Koyi

Jagane Se Bhi Na Ye Jaage
Meri Qismat Soyi
Tere Sarab Mein Ye Aankhein
Bepanah Royi

Sila Wafaon Ka Mangen Toh
Qayamat Ho Qayamt Ho
Tumhen Main Kese Kahu Apna
Amanat Ho Amanat Ho

Tumhen Qabool Bhi Karen Toh
Tum Hamare Nahi
Tumhen Qubool Bhi Karen Toh
Tum Hamare Nahi

Juda Juda Hai Apni Manzil
Par Kinare Nahi
Qadar Hamari Tere Dil Mein
Par Tumhare Nahi

Jo Ab Yeh Dil Bataye Toh
Baghawat Ho Baghawat Ho
Tumhe Main Kese Kahon Apna
Amanat Ho Amanat Ho
Written by: Qamar Nashad

                                
Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!

You may also like...



Disclaimer:

DISCLAIMER:All song lyrics displayed here are for educational purposes only. Songs lyrics and images shared are copyright to their respective owners. We respect the artists and don't promote copyright infringement instead. If you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Gaana, Wynk Music, Jiosaavn, iTunes etc.


Thank You For Visiting The Hindisonglyrics.net