Ghazal

Tere Khayaal Ki lyrics

Tere Khayaal Ki

Tere Khayaal Ki Tere Khayaal Ki lyrics

Song: Tere Khayaal Ki

Artist : Jagjit Singh

Lyrics : Gulzar

Tere Khayaal Ki Song Lyrics

Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain -2
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Bade tapak se milte hain milne waale mujhe -2
Woh mere dost hai, teri wafa mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Firaaq-e-yaar mein saanson ko rok ke rakhte hain -2
Harek lamha guzarti qaza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Na baat poori huwi thi, ke raat toot gayi -2
Adhure khwaab ki aadhi saza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Tumhaari baaton mein koyi masiha basta hai -2
Haseen labon se barasti shafa mein jeete hain