NA KAJRE KI DHAAR Lyrics

Na Kajre Ki Dhaar Lyrics from Mohra is sung by Pankaj Udhas and Sadhana Sargam and written by Anand Bakshi. Music of Na Kajre Ki Dhaar is composed by Viju Shah.

NA KAJRE KI DHAAR LYRICS - Mohra
NA KAJRE KI DHAAR Song Details:
Song:NA KAJRE KI DHAAR
Movie:Mohra
Singer:Pankaj Udhas, Sadhana Sargam,
Lyrics:Anand Bakshi
Music:Viju Shah

NA KAJRE KI DHAAR Lyrics

Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho x (2)

Man mein pyar bhara aur tan mein pyar bhara
Jeevan mein pyar bhara, tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

Singar tera yauvan, yauvan hi tera gehna
Singar tera yauvan, yauvan hi tera gehna

Tu tazgi phoolon ki, kya sadgi ka kehna
Ude khushbu jab chale tu
Ude khushbu jab chale tu
Bole to baje sitar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

Saari duniya harjayi
Tere pyar mein hai sachchayi x (2)

Isliye chhod ke duniya
Teri oar khinchi chali aayi
Thi patthar toone chhoo kar
Thi patthar toone chhoo kar
Sona kar diya khara

Man mein pyar bhara aur tan mein pyar bhara
Jeevan mein pyar bhara, tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

Tera angg sachcha sona
Muskan sachche moti x (2)

Tere honth hain madhushala
Tu roop ki hai jyoti
Teri soorat jaise moorat
Teri soorat jaise moorat
Main dekhun baar baar

Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

Man mein pyar bhara aur tan mein pyar bhara
Jeevan mein pyar bhara, tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho
Written by: Anand Bakshi

                                
Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!

You may also like...



Disclaimer:

DISCLAIMER:All song lyrics displayed here are for educational purposes only. Songs lyrics and images shared are copyright to their respective owners. We respect the artists and don't promote copyright infringement instead. If you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Gaana, Wynk Music, Jiosaavn, iTunes etc.


Thank You For Visiting The Hindisonglyrics.net