CHEMICALS Chemicals Lyrics by Dino James and Kaprila is latest Hindi song with music given by Bluish Music. Chemicals song lyrics are written by Dino James and video is directed by Himanshu Tyagi.
Song: CHEMICALS
Singer: Dino James, Kaprila,
Music: Bluish Music
Lyrics: Dino James
CHEMICALS Lyrics
Saari saari raat daraye
Woh jaise hai dayan
Saansein na lene de aise rasayan
Hoon bahar se ghayal
Aur andar se kayal
Lagti mohabbat par hai sab yeh science
Kuchh divya si cheezein samajhta tha pyar ko
Phir jaana body bas chhodti hormones
You are not in love tum chhote beemar ho
Kuchh kaam nai aata hai Disprin ya Saridon
Us se pyar karta hoon
Ya uske sath koyi ego hai mera
Woh kaise bhi prapt ho
Suljha raha hoon main uljhi is gaanth ko
Dil aur dimag ke aapas ke war ko
Yeh kaise chemical chhode dimag bhi
Itni lachari hai aisa na tha kabhi
Jis se main ladta hoon uska mian bhaag bhi
Kamzor pad raha hoon andar aur taakat nai
Bas pyar karne ki maine himakat ki
Aisa kyun ho gaya meri thi kya galti
Na karna galti se aisa mazak bhi
Chemicalon ne kiya tere sath bhi
Khel saara bas chemicals
Main tha bas tab se bekhabar
Tu sarvar mein ghar var mein
Har pal bas badbad mein
Dar dar kaanpun tharr tharr
Dil dhad dhad kyun mar mar ke
Karwat loon har kshhan mein
Parvat tha ab kann main
Sir garam maan sard hain
Andar bhar bhar dard hai
Khandar jaise manzar
Jaise khanjar kare puncture
Hoon main banjar karun sangharsh
Sune humdard kyun na tang kare
Dheele anjar saare panjar
Teri sangat thi meri sampat
Par sampark mein nahi hum but
Just one word can comfort
Sunane de ya mujhe jaane de tu
Mujhe jeene ke jhoothe bahane de
Un saari yaadon ki arthi ko kandhe de tu
Mujhe thaame reh bhale tu taane de
Woh sab anjaani si yaadein lautane de
Kho gaya tha main kab se khud ko paane de
Gaane de gaane de bas mujhko gaane
Gaane de gaane de gaane de
Beemariyon ke daag yeh jaate nahi
100 dard hain phir bhi kyun
100 rahatein nahi
Hai yeh saara bas chemicals
Main tha bas tab se bekhabar
Saari saari raat daraye
Woh jaise hai dayan
Saansein na lene de aise rasayan
Hoon bahar se ghayal
Aur andar se kayal
Lagti mohabbat par hai sab yeh science